Monday, July 11, 2011

VAPSI

Dinank 19.06.2011 se 09.07.2011 tak may saparivar apne GHAR Patna me raha. Patna mera Janm asthali raha hai. Kai kamiya vaha abhi bhi hai, Jisme kaphi sudhar ki jarurat hai, phir bhi log kaphi saral aur man ke akshey hai. Rajneet may Nitish ji ka kamal Chokane walla hai. Unke natritvya main Bihario ki prathistha kaphi badhi hai.
Kalkata may ek jamana tha ki log Bihario ko dekh kaha karte the ki Lalu- Rabri dese log asey gaye chey. Yah ek apmanjanak Paryayee ban gaya tha. Lakin aaj vahi log kaha karte hai ki Nitish dese log kaphi pragati korche aur Bihare kapal bhalo ki Nitish rokan leader payechey. Sacmuch kushal aur Imandar Netritva per garva hota hai. Bihar may pragati ki Aandhi chal rahi hai.
  Bangal pyara lagta hai. Prantu yaha ke log apne ko hi sarvshershta mantay hai aur anya Rajyo se apne  ko alag mantey hai. Bangalio mai sahi tathyo ko swikar karne ki adbhut shakti hai. Dinank 10.07.2011 ko Kalka Mail ka Durghatna grastya hona kaphi dukhad samvad raha. Gauhati-Puri bhi Durghatnagrastya hui. Desh mai pata nahi Rail ko kya ho gaya hai. Bayanbaji aur VVIP ka daura ek Notanki aur Ghariyali Ansu lagta hai. Ab to Mantri bhi kaphi besharam se ho gai hai. Janta ke paise per mauz karne valley Mantryo per Hatya ka kyo nahi mukadma chalaya jata hai ? Loktantrya mai Janta hasi per chali ja rahi hai. Ese turanta roka jana chaheyee. Loktantra ki VAPSI ke lye Shakati Janta ke hatho me honi chaheye.  Aaj bus itna hi.

Monday, June 6, 2011

Ek Aur Kala Addhaye

dinank 5.6.2011  din Ravibar- Pratah morning walk ke liye nikla to dosto ne batlaya Rat mein swami Baba Ramdev ke sath Sarkar ki  kali kartut ki bate. Char ki Rat kaphi der tak TV per Cipka Raha. Baba Ramdev kee deshbakti per pura biswas tha. Unki Imadari per shak ki thori bhi gunjayas nahi thi. Lagbhag 5 vaso se bhi adhik samay se TV per unke karkaram -Yog evam prabachan ko niamite suna karta raha hu. Meri Patni aur dono bache Baba ko shardha se dekte hai. Ramdev ki deshbakti per yadi kaye abishawas kare to woh nischit duratma hai. Mai J.P.Movement mai bhag le chuka hu aur puri gumnami ki Jindgi jee raha hu aur kai asse Mitro ko janta bhi hu jo aaj Satta ke Sheersh per bathai hai. Unse ab sampark bhi nahi rakhta. Apni Jindgi puri Imandafri sw jita hu. Apni Jindgi me apne aster se Vyabashta ke khilaf chote aster per larta bhi rahta hu. Es Ladai mei jayda nirasha aur upeksha ka ki samna karta hu. Per nirash kabhi nahi hota. Logo se ersha ya shikayat bhi nahi hai. Her ko apna jine ka alag andaj hai. Baba Ramdev per Astha hai aur ek roshnu dekta hu. Jai Prakash ko bhi esee Congress ne ladhi mara tha. Aaj esee Congress ne Baba ko bhi Jan se marne ka shadyantra racha. Baba yadi Thag hai to char Cabinet ke Mantri phir kyo unse Varta lap kar rahe the. Pahle to in Mntriyo se tyag patra maga jai ki ek thag ka itna samman vo kyo ker rahe thai.Baba to kam se kam Yoga to sikha rahe hai jisase log shosth rahe. Per ye Mantri Log to Bhrastachar Sikha rahe hai  aur ise protshahit ker rahe hai. So rahe baccho, aurto ke sath jo hua usase Rastrya ka prajatantra khoon ke ansu ro raha hai. Inhe Sata se uttara jai. Jai Hind.

Sunday, May 22, 2011

ARUNACHAL: Prarambh

ARUNACHAL: Prarambh: "Mai yah pahla blog ka vayvahar kar raha hu. Jayada es sambandh mai jankari nahi hai. Per sikhane ka koi umer nahi hota hai. Bhasha avhivayak..."

Thursday, May 19, 2011

Jabavdehi tai ho

Sarkari karyalo mein kam kaj ka jo hal hai, vah kisise chuppa nahi hai. Her koyee kisi na kisi tarah se esase pravhabit hai. Janta ka paise pane walla ka samavad esha hai jo wah khud nahi janta.Rajbhasha Hindi to hai per esese vaishavirti ka kam lya ja raha hai. Jo koi jaisa chahta eska vaybahar kar leta. Hindi adhikari ya Translator ko eskee dalali mai laga rakah gya hai aur woh sirf hindi karshala ka ayojan ya hidni divas samaroho mei gum ho ja raha hai. Hindi ka majak ya bhonda rup mai prastuti kar kaphi paise kharch kar diye ja rahai hain. Yah to aur bhi bhada majak aur desh ka apman hai ki atankvadyeo ki jo suchi Pakistan ko soupi gayee thi usme se ek Bharat mai hi rah raha hai aur Kendra Sarkar apna pallu shaf kar elzam dusre per phek de rahi hai. Yah dhule aam laparvahi hai. Yadi Jabadehi tai hoti aur danda ka prabadhan hota to aisee galti nahi hota. Laparvahi sabse jayda Sarkari karyaloye mein hai aur yah sab Janta ke paise per palte hain to phir kyo nahi laparbahi karne per enhey Dandit kya jai.
         Aaj ke lye bus itna hi.

Monday, May 16, 2011

Prarambh

Mai yah pahla blog ka vayvahar kar raha hu. Jayada es sambandh mai jankari nahi hai. Per sikhane ka koi umer nahi hota hai. Bhasha avhivayakti ka ek sasaktya madhyam hai. Abhivaykti ke lye sirf sabdy hi nahi hota.Bacha ma ke gode mai apne haou bhou se abhibaykti sampresit karta hai. Cricket mai Umpaire ki ungali, Football mai Referee ka Vissel vi Jhanda bahut kuch kah jata hai. Esleye kaye bar sochta hu ki kash mera Man mera shabda hota. Mere man ko apkee jaroorat hai. Man ki bhash sabdo se jyada pabow kari hoti hai.
  Aye, kuch hum apse sikhey, kuch aap hum se sikhain. Bus aaj ke leye etna hi. Subh Ratri.